Aman Kaa Farishtaa (Title) Lyrics  | Aman | Rajendra Kumar, Chetan Anand | Mohammed Rafi | Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi

Aman Kaa Farishtaa (Title) Lyrics | Aman | Rajendra Kumar, Chetan Anand | Mohammed Rafi | Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi

Aman kaa farishtaa kahaan jaa rahaa hai
Chaman ro rahaa hai machi hai duhaai
Chaman ro rahaa hai machi hai duhaai
Aman kaa farishtaa kahaan jaa rahaa hai
Chaman ro rahaa hai machi hai duhaai
Chaman ro rahaa hai machi hai duhaai

Kiyaa kaam aisaa ki halachal machaa di
Ye duniyaa jahannum thi jannat banaa di
Ye duniyaa jahannum thi jannat banaa di
Khichi aa rahi hai saari khudaai
Chaman ro rahaa hai machi hai duhaai
Chaman ro rahaa hai machi hai duhaai

Na ujdegi duniyaa kisi bhi dulhan ki
Na roegi raakhi kisibhi bahen ki
Na roegi raakhi kisibhi bahen ki
Juda ab na hoga bhai se bhai
Chaman ro rahaa hai machi hai duhaai
Chaman ro rahaa hai machi hai duhaai

Bahut der jaagaa thaa soyaa huaa hai
Aman ke khyaalo me khoyaa huaa hai
Aman ke khyaalo me khoyaa huaa hai
Ye kaisi muhabbat ye kaisi judaai
Chaman ro rahaa hai machi hai duhaai
Chaman ro rahaa hai machi hai duhaai

Ye jivan ki mazil pe chhutaa hai hamase
Koii to manaao ye ruthaa hai hamase
Koii to manaao ye ruthaa hai hamase
Nazar mere baabu ko kisane lagaai
Chaman ro rahaa hai machi hai duhaai
Chaman ro rahaa hai machi hai duhaai

Aman kaa farishtaa kahaan jaa rahaa hai
Chaman ro rahaa hai machi hai duhaai
Chaman ro rahaa hai machi hai duhaai.

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *