Na tha kuch to khuda tha
Kuch na hota to khuda hota
Na tha kuch to khuda tha
Kuch na hota to khuda hota
Duboya mujhko hone ne
Na hota main to kya hota
Hua jab ghum se yu bebas
To ghum kya sar ke katne ka
Hua jab ghum se yu bebas
To ghum kya sar ke katne ka
Na hota agar juda tan se
To jaano par dhara hota
Huyi muddat ke gaalib mar gaya par yaad aata hai
Huyi muddat ke gaalib mar gaya par yaad aata hai
Wo har ek baat per kahna ke yu hota to kya hota

