Aaj Ki Raat Badi Shokh Badi Natkhat Hai (Male) Lyrics | Nai Umar Ki Nai Fasal | Mohammed Rafi | Roshan

Aaj Ki Raat Badi Shokh Badi Natkhat Hai (Male) Lyrics | Nai Umar Ki Nai Fasal | Mohammed Rafi | Roshan

Aaj ki raat badi shokh badi natkhat hai
Aaj to tere bina nind nahi aayegi
Ab to tere yaha aane ka ye mausam hai
Ab tabiyat naa khyaalo se bahal paayegi

Dekh wo chhat pe utar aayi hai saawan ki ghata
De rahi dwaar pe khadi aawaaj purwaai
Bijali rah rah ke
Pahado se chamak uthati hai
Suni aankho me koi khwaab le jo angadaai
Kaise samjhaau
Kaise samjhaau kaise
Waqt ka matlab kya hai
Dil ki hai baat
Ho dil ki hai baat naa hotho se kahi jaayegi
Aaj ki raat

Ye bhatkate huye jugnu ye deeye aawaara
Bhigate ped pe bujh bujh ke chamak uthate hai
Tere aanchal me take salme sitaare jaise
Mujhse milne ko bina baat damak uthate hai
Saara aalam
Saara aalam hai girftaar tere husn me jab
Mujhse hi kaise
Haaye mujhse hi kaise ye barsaat sahi jaayegi
Aaj ki raat

Raat raani ki ye bhini si nashili khushbu
Aa rahi hai ke jo chhan chhan ke ghani daalo se
Aisa lagta hai kisi dheet chakore se lipat
Khel aayi hai tere uljhe huye baalo se
Aur bejaan
Aur bejaan naa kar mere tadapte huye dil ko
Aisi rangin
Ho aisi ragin gajal aake naa phir jaayegi
Aaj to tere bina nind nahi aayegi
Aaj ki raat badi shokh badi natkhat hai

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *