Yeh shaam ki tanhayiyaan, aise mein tera gham – 2
Patte kahi khadke hawa aayi toh chaunke hum – 2
Yeh shaam ki tanhayiyaan, aise mein tera gham
Jis raah se tum aane ko the – 2
Usake nishaan bhi mitane lage – 2
Aaye na tum sau sau dafa aaye gaye mausam – 2
Yeh shaam ki tanhayiyaan, aise mein tera gham
Sine se laga teri yaad ko – 2
Roti rahi main raat ko – 2
Haalat pe meri chaand taare ro gaye shabnam – 2
Yeh shaam ki tanhayiyaan, aise mein tera gham – 2