Oonchi Oonchi Diwaro Me Lyrics | Achanak | Alka Yagnik, Hariharan | Dilip Sen

(Oonchi oonchi diwaro me
Hum ghut ghut kar mar jayenge
Tumne jo aisa jaan kiya
Hum kisko jaan bulayenge – 2
Meri jaan) – (2)

Na rasta hai na manzil hai
Tufan hi apna sahil hai
Wada karna aur nibhana
Jane ja kitna mushkil hai
Tanhai me diwaro se
Hum apna sar takrayenge
Tumne jo aisa jaan kiya
Hum kisko jaan bulayenge – 2
Meri jaan

Dukhda jiya ka kahe nahi sakte
Dur nazar se rahe nahi sakte
Kasam tumhari ek lamha bhi
Dard ye judai sahe nahi shake
Bechain mohabbat kehti hai
Hum khud ko aaj mitayenge
Tumne jo aisa jaan kiya
Hum kisko jaan bulayenge – 2
Meri jaan
Hum kisko jaan bulayenge – 2

Na koi aawaz de humko
Na to koi naam pukare
Bich safar me chhod gaye hai
Humko apne sabhi hamare
Aisa lagta hai ab tanha
Hum zinda na rahe payenge
Tumne jo aisa jaan kiya
Hum kisko jaan bulayenge – 4

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *