Aaja Meri Barbaad Mohabbat Lyrics | Anmol Ghadi | Noor Jehan

(Aaja aaja, aaja meri barbaad mohabbat ke sahaare
Hai kaun jo bigdi hui taqdeer sanvaare) -2

(Aaye bhi na the khushk hue aankhon mein aansoo
Haye aankhon mein aansoo) -2
Nikle bhi na the lut gaye armaan bechaare
Hai kaun jo bigdi hui taqdeer sanvaare

(Anjaam-e-mohabbat hamein maaloom hai lekin
Hamein maaloom hai lekin) -2
Lete hain tere gham mein ummeedon ke sahaare
Hai kaun jo bigdi hui taqdeer sanvaare

(Tha dil ko faqat teri, mohabbat ka sahaara
Mohabbat ka sahaara) -2
Hamne isi ummeed pe din apne guzaare
Hai kaun jo bigdi hui taqdeer sanvaare

Aaja aaja, aaja meri barbaad mohabbat ke sahaare
Hai kaun jo bigdi hui taqdeer sanvaare

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *