Aaye Aaye Hain Sapne Me Hamare Woh Lyrics | Bachchon Ka Khel | Agha NirupaRoy, Kabir, Nimbalkar | Anuradha Paudwal | C Ramchandra

Aaye aaye hain sapane mein hamaare wo
Aaye aaye hain sapane mein hamaare

Muhabbat ke dariya pe donon the aaye
Main thi is kinaare, wo the us kinaare
Aaye aaye hain sapane mein hamaare

Kahaan mainne, aaoon main kaise, bataao
Pareshaan donon ishq ke bichaare
Aaye aaye hain sapane mein hamaare

Isi bebasi mein lahar ik aai
Chalen donon milane usi ke sahaare
Aaye aaye hain sapane mein hamaare

Usi ke gale mil ke main hans rahi thi
Khuli aankh dekha to chhitake the taare
Aaye aaye hain sapane mein hamaare

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *