Shishe se bani ik ladki
Patthar ke nagar me aayi
Shishe se bani ik ladki
Patthar ke nagar me aayi
Vo dhudh rahi thi moti
Aur patthar se takrayi
Shishe se bani ik ladki
Patthar ke nagar me aayi
Shishe se bani ye ladki
Is baat se hai anjaani
Shishe se bani ye ladki
Is baat se hai anjaani
Jab ret chamkati hai to
Lagti hai dur se paani
Ye phul hai sab kagaz ke
Lekin vo samajh na paayi
Shishe se bani ik ladki
Patthar ke nagar me aayi
Vo dhudh rahi thi moti
Aur patthar se takrayi
Shishe se bani ladki se
Kah do ki na baad me rona
Shishe se bani ladki se
Kah do ki na baad me rona
Kuchh log jo hai pital ke
Kahte hai vo khud ko sona
Ye jhuth kaa pul tutega
Aur gahri hai gam ki khayi
Ye jhuth kaa pul tutega
Aur gahri hai gam ki khayi
Shishe se bani ik ladki
Patthar ke nagar me aayi
Vo dhudh rahi thi moti
Aur patthar se takrayi

