Ulfat Ka Rasta Hai Lyrics | Nadan | Lata Mangeshkar | Chic Chocolate

Ulfat Ka Rasta Hai Lyrics | Nadan | Lata Mangeshkar | Chic Chocolate

Ulfat ka rasta hai manzil ki hai talash
Kuch kaulkhati kishti ko sahil ki hai talash
Aur mujhko mere khoye huye dil ki hai talash

Accha hota jo dil me tu aaya na hota
Haye rulana tha agar to hansaya na hota
Tu aaya na hota
Accha hota jo dil me tu aaya na hota
Haye rulana tha agar to hansaya na hota
Tu aaya na hota

Chhodke agar sath jana tha ek din
Chhodke agar sath jana tha ek din
To ulfat ka rasta mujhko dikhaya na hota
Tu aaya na hota
Accha hota jo dil me tu aaya na hota

Basai thi nigaho me tasveer kyu meri
Basai thi nigaho me tasveer kyu meri
Yu najro se apni phir giraya na hota
Tu aaya na hota
Accha hota jo dil me tu aaya na hota

Khiza hi jab lani thi humare chaman me
Khiza hi jab lani thi humare chaman me
To phulo se gulshan ye sajaya na hota
Tu aaya na hota
Accha hota jo dil me tu aaya na hota
Haye rulana tha agar to hansaya na hota
Tu aaya na hota

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *