Maana Yeh Aaj Hamane Lyrics | Thodi Life Thoda Magic | Shaan, Swati Mukund, Vijay Prakash | Vinay Tiwari

Maana yeh aaj hamane, aisi hi jindagi hai – (2)
Thodi si aashqi hai -2, thodi si yeh bandagi hai
Maana yeh aaj hamane, aisi hi jindagi hai

Maine toh abb tak yeh sikha, ishq ke aage hai sab fika – (2)
Mann pe chadhe toh utare na yeh, ishq ka rang bada tikha
Maana yeh aaj hamane, rango ki taajagi bhi
Thodi si aashqi hai -2, thodi si yeh bandagi hai
Maana yeh aaj hamane, aisi hi jindagi hai

(Abb hum samajhe ki hasrat hai kya
Dil ki yu dil se yeh chaahat hai kya) – (2)
Aankho se jo bole jaaye, un labjo ki kimat kya
Maana yeh aaj hamane, labjo ki saadagi bhi
Thodi si aashqi hai -2, thodi si yeh bandagi hai
Maana yeh aaj hamane, aisi hi jindagi hai

(Yeh ishq hai dhoop aur hai hawa
Marj bhi hai yeh, yahi hai dawa) – (2)
Ishq agar jaahir na ho toh, yahi maja hai yahi saja hai
Maana yeh jindagi bhi jaise ki shaayari hai
Thodi si aashqi hai -2, thodi si yeh bandagi hai
Maana yeh aaj hamane, aisi hi jindagi hai – (2)
Thodi si aashqi hai -2, thodi si yeh bandagi hai

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *