(Kaun sunega kisko sunaye – 2
Is liye chhup rahete hai) – (2)
Humse apne rooth na jaye – 2
Is liye chhup rahete hai
Meri surat dekhne walo mai bhi ik aaina tha – 2
Toota jab ye sisaye dil sawan ka mahina tha
Tukde dil ke kisko dikhaye – 2
Is liye chhup rahete hai
Humse apne rooth na jaye – 2
Is liye chhup rahete hai
Aaj khushi ki is mehpfhil mai apna ji bhar aaya hai – 2
Gam ki koyi baat nahi hai hume khushi ne rulaya hai
Aankh se aansu beh na jaye
Is liye chhup rahete hai
Humse apne rooth na jaye – 2
Is liye chhup rahete hai
Pyar ke phul chune the humne khushi ki sej sazane ko – 2
Patjad banke aai bahare ghar me aag lagane ko
Aag mai ghum ki jal na jaye – 2
Is liye chhup rahete hai
Kaun sunega kisko sunaye
Is liye chhup rahete hai – 3