Insan Tha Pehle Bandar Lyrics | Son Of India | Shanti Mathur | Naushad Ali

Kahte the ustad hamare
Naam tha jinka machhandar

Insan tha pehle bandar – 4

Lambi dum wale the sare
Apni pavo ke andar
Insan tha pehle bandar – 2

Na koi jhon tha na koi abdul
Na koi tha gopal
Sabki surat ek jaisi thi
Ek thi sabki chal – 2

Nange phirte the jangal me
Banke mast kalandar
Insan tha pehle bandar – 2

Kahte the ustad hamare
Naam tha jinka machhandar
Insan tha pehle bandar – 2

Kam kiya ye pahla humne
Ban gaye jab insan
Miti ke do char gharo me
Bant diye bhagwan – 2

Kisi ne bola uncha gir ja
Kisi ne mast samandar
Insan tha pehle bandar – 2
Lambi dum wale the sare
Apni pavo ke andar

Insan tha pehle bandar – 2
Kahte the ustad hamare
Naam tha jinka machhandar

Insan tha pehle bandar – 2

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *