Ta ra na na na na re……… re re re… ta na na na na…
Ta ra na na na na re………
Jindagi ki kahaani yahi hai – (2)
Haar mein hi toh jeet chhupi hai – (2)
Har tamanna ho puri hamaari, aisa bhi toh jaruri nahi hai – (2)
Phir bhi sapno ki aadat sahi hai
Jindagi ki kahaani yahi hai – (2)
Haar mein hi toh jeet chhupi hai – (2)
Aasuo se bahega jo kaajal, woh hi aankhon mein phir kal sajega – (2)
Bebasi mein luta hai jo yeh dil, (woh hi dil phir kabhi toh basega -2)
Ghum ke saaye mein palati khushi hai – (2)
Haar mein hi toh jeet chhupi hai – (2)
Ta ra na na na na re……… ta ra ra ru ra ra ra ru….
Auro ke dil se khele bhala kya, auro ke dil ko tode bhala kya – (2)
Tute dil par kisi ke hamaara (ho mehal bhi toh hoga bhala kya -2)
Haar se haar jaana nahi hai – (2)
Haar mein hi toh jeet chhupi hai – (2)
Ta ra na na na na re……… ta ra ra ru ra ra ra ru….