Aansu kabhi chhalke nahi
Moti bikhar jayenge o sathiya
Aansu kabhi chhalke nahi
Moti bikhar jayenge o sathiya
Tujhme har pal hai wo fasala kab kaha fir hua – 2
Aansu kabhi chhalke nahi
Moti bikhar jayenge o sathiya
(Sach ki raho pe tu jo chalega
Ajmaish vo teri karega) – 2
Jindagi ki kadi dhup me bhi
Ban ke saya vo sang sang chalega
Roshni ye rahe samjho sara jahaa mil gaya – 2
Aansu kabhi chhalke nahi
Moti bikhar jayenge o sathiya
(Dur tujh se hua hai agar wo
Yaad ban ke vo tujhme rahega) – 2
Dil se chaha hai tune use to
Sans ban kar vo tujhme rahega
Aas baki raheghe samjho tujko khuda mila gaya – 2
Aansu kabhi chhalke nahi
Moti bikhar jayenge o sathiya
(Pak mariyam sa aanchal samandar
Jisme mojud hai tera sawan) – 2
Man ki aankho se dekho use to
Pass tere hai tera wo ishawar
Khudako dundho jara dil udasi se kyon hai bhara – 2
Aansu kabhi chhalke nahi
Moti bikhar jayenge o sathiya
Aansu kabhi chhalke nahi
Moti bikhar jayenge o sathiya
Tujhme har pal hai wo fasala kab kaha fir hua – 2
Aansu kabhi chhalke nahi
Moti bikhar jayenge o sathiya