Bikhar gayi meri moti jaise aabru
Koyi bataaye main iss duniya ka kya karu
Main dard bhi hoon, pukaar bhi hoon – (2)
Main janani hoon, main hoon devi – (2)
Main shakti hoon, lachaar bhi hoon
Koyi jhaank toh le mere aankhon mein – (2)
(Sabhya samaaj ki daadaagiri hai
Jazbaaton ki saudaagiri hai) – (2)
Jabse haan yeh duniya bani hai
Laaj sharam par bijali giri hai
Jism saje hai duniya ke baajaar mein – (2)
Sukh gaye dil abb saare sansaar mein
Koyi bhaanp toh le meri baaton mein – (2)
Main pyaar bhi hoon, khumaar bhi hoon – (2)
Main janani hoon, main hoon devi – (2)
Main shakti hoon, lachaar bhi hoon
Koyi jhaank toh le mere aankhon mein – (4)