Zameen Chal Rahi Aasmaan Chal Raha Hai Lyrics | Pehli Jhalak (1954) | Hemant Kumar | C Ramchandra

Zameen chal rahi aasmaan chal raha hai – (2)
Yeh kisake ishaare jahaan chal raha hai
Zameen chal rahi aasmaan chal raha hai
Yeh kisake ishaare jahaan chal raha hai
Zameen chal rahi aasmaan chal raha hai

Chale ja rahi hai jamaane ki naiya – (2)
Najar se dekha kisie khivaiya – (2)
Na jaane yeh chakkar kahaan chal raha hai – (2)
(Yeh kisake ishaare jahaan chal raha hai
Zameen chal rahi aasmaan chal raha hai) – (2)

Yeh hasana yeh rona yeh aasha niraasha – (2)
Samajh mein na aaye kya hai tamaasha – (2)
Yeh kyun raat din kaarwaan chal raha hai – (2)
(Yeh kisake ishaare jahaan chal raha hai
Zameen chal rahi aasmaan chal raha hai) – (2)

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *