Jamaane Se Niraala Hai Lyrics | Pehli Jhalak (1954) | Lata Mangeshkar | C Ramchandra

Aa aa aa…
Jamaane se niraala hai meri ulfat ka afsaana
Meri ulfat ka afsaana
Bulaati hai shama lekin nahi aata hai parwaana
Nahi aata hai parwaana

Yeh kaisa pyaar hai, kaisi muhabbat, kaisi chaahat hai – (2)
Suraahein paas aati hai – (2)
Khincha jaata hai paimaana – (2)
Jamaane se niraala hai (meri ulfat ka afsaana -2)

Aa aa aa aa….
Kisi din woh bhi dekhenge asar dard-e-muhabbat ka – (2)
Rahenge kab talak woh apane deewaane se begaana – (2)
??? se begaana
Jamaane se niraala hai (meri ulfat ka afsaana -2)

Jara dekho jara samajho ishaarein dil ki dhadkan ke – (2)
Yeh armaano bhara dil hai – (2)
Tumhaara hi toh deewaana – (2)
Jamaane se niraala hai (meri ulfat ka afsaana -2)

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *