Tere Bin Saawan Kaise Bita Tu Kya Jaane Balama Lyrics | Jab Yaad Kisi Ki Aati Hai | Lata Mangeshkar | Madan Mohan

Tere Bin Saawan Kaise Bita Tu Kya Jaane Balama Lyrics | Jab Yaad Kisi Ki Aati Hai | Lata Mangeshkar | Madan Mohan

Tere bin sawan kaise bita
Tere bin sawan kaise bita tu kya jane balama
Tere bin sawan kaise bita
Tere bin sawan kaise bita tu kya jane balama
Tere bin sawan

Gav me jhule jab lahraye
Git milan sab ne gaye
Sakhiyo ne pucha bol sakhi ri
Tere sajan kyo na aye
Fir sakhiyo ne kya kya pucha
Tu kya jane balam
Tere bin sawan kaise bita tu kya jane balama
Tere bin sawan

Phul chaman me jab muskaye
Pal pal bita as lagaye
Koyaliya ne rag to chheda
Payaliya ne git na gaye
Pag pag chhalke nain gagriya
Tu kya jane balama
Tere bin sawan kaise bita tu kya jane balama
Tere bin sawan

Lambi rate ghor andhera
Mujh sang jaga dipak mera
Hum dono ne bhor bhare tak
Ro ro dekha rasta tera
Kya hota hai dukh birha ka
Tu kya jane balama
Tere bin sawan kaise bita
Tere bin sawan kaise bita tu kya jane balama
Tere bin sawan

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *