Aao Karen Baatein Aur Baatein Mulaakaatein Lyrics | Naya Nasha (1973) | Lata Mangeshkar | Sapan Chakravarty

(Ey aao karen baatein aur baatein mulaakaatein
O pyaar ke din aaye, prem ki raatein) – (2)

Aise kyun khoye ho rut suhaani mein – (2)
Phir kahaan yeh mausam iss jawaani mein
Iss hawa se lag rahi hai aag paani mein
Ey aao karen baatein aur baatein mulaakaatein
O pyaar ke din aaye, prem ki raatein

Hai milan ki yeh bela kab milan hoga – (2)
Dil tadap jaayenge tab milan hoga
Abb toh hamase hasake keh do abb milan hoga
(Ey aao karen baatein aur baatein mulaakaatein
O pyaar ke din aaye, prem ki raatein) – (2)

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *