(U.p. bihar na punjab rajasthan – 2
Meri taal pe dewaana saara hindustan – 2) – 2
Chanchal jawaani badi manchali hai
Dewaano mein mach gayi khalbali hai
Jaipur ki choli meri sheeshewaali
Saadi banaras ki chunari bhopali
Aankhon mein surma bareli ki jaan – 2
Meri taal pe dewaana saara hindustan – 2
Mujhko pukaare koyi dilbar jaani
Koyi kahe beautiful meri raani
Dewaane meri jawaani pe saare
Chaahat mein mere phire maare maare
Sabko lubhaati hai meri muskaan – 2
Meri taal pe dewaana saara hindustan – 2
