(God allah aur bhagwan ne banaya ik insaan – 2
Aaya zameen pe lekar woh upar waale ka farmaan
Woh doston ka hai dost yaaron ka hai yaar
Jiska naam sunke kaanpe har shaitan) – 2
God allah aur bhagwan ne banaya ik insaan
(Woh tujhme bhi hai woh mujhme bhi hai
Kahin na kahin woh hum sab mein hai) – 2
(Sab mein woh chupa hai usey pehchaan le
Uska jo iraada hai hum thaan lein) – 2
Woh doston ka hai dost yaaron ka hai yaar
Jiska naam sunke kaanpe har shaitan
God allah aur bhagwan ne banaya ek insaan – 2
(Jahaan kal woh tha akela khada
Kadam apna bhi udhar chal pada) – 2
(Dil ke khabon ki jannat sajayenge hum
Pyar ka savera leke aayenge hum) – 2
Woh doston ka hai dost yaaron ka hai yaar
Jiska naam sunke kaanpe har shaitan
God allah aur bhagwan ne banaya ek insaan – 2