Nikle The Kaha Jane Ke Liye Lyrics | Bahu Begum | Asha Bhosle | Roshan

Nikle The Kaha Jane Ke Liye Lyrics | Bahu Begum | Asha Bhosle | Roshan

Nikle the kaha jane ke liye
Pahunche hai kaha malum nahi
Pahunche hai kaha malum nahi
Ab apne bhatakte kadmo ko
Manzil ka nisha malum nahi
Manjil ka nisha malum nahi

Humne bhi kabhi ho humne bhi kabhi iss gulshan me
Ek khwab-ae-bahara dekha tha
Ek khwab-ae-bahara dekha tha
Kab phul jhade kab phul jhade
Kab gard udi
Kab aayi khija malum nahi
Kab aayi khija malum nahi
Ab apne bhatakte kadmo ko
Manzil ka nisha malum nahi
Manzil ka nisha malum nahi

Dil shola-ae-gam se ho dil shola-ae-gam se khak huwa
Ya aag lagi armaano me
Ya aag lagi armaano me
Kya chiz jali kya chiz jali kyun seene se
Utha hai dhua malum nahi
Utha hai dhua malum nahi
Ab apne bhatakte kadmo ko
Manzil ka nisha malum nahi
Manzil ka nisha malum nahi

Barbaad wafa ho barbaad wafa ka afasana
Hum kisse kahe aur kaise kahe
Hum kisse kahe aur kaise kahe
Khamosh hai lab khamosh hai lab aur duniya ko
Ashko ki juba malum nahi
Ashko ki juba malum nahi
Nikle the kaha jane ke liye
Pahunche hai kaha malum nahi
Pahunche hai kaha malum nahi
Ab apne bhatakte kadmo ko
Manzil ka nisha malum nahi
Manjil ka nisha malum nahi

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *