Chand Ek Beva Ki Chudi Ki Tarah Tuta Hua, Koi Nahi Mera Is Duniya Mein Lyrics | Daag | Talat Mahmood | Shankar Jaikishan

Chand Ek Beva Ki Chudi Ki Tarah Tuta Hua, Koi Nahi Mera Is Duniya Mein Lyrics | Daag | Talat Mahmood | Shankar Jaikishan

Chaand ek beva ki chudi ki tarah tuta hua
Har sitaara besahara soch me duba hua
Gam ke baadal
Ik janaaze ki tarah thahre huye
Sisakiyo ke saaz par kahta hai dil rota hua
Koi nahi mera is duniya me aashiya barbaad hai
Aansu bhari mujhe qismat mili hai zindagi nashad hai
Koi nahi mera is duniya me aashiya barbaad hai

Ja hava tu rasta le apna
Qismat hai meri ji ke tadpana
Ja hava tu rasta le apna
Qismat hai meri ji ke tadpana
Aayi hai mere gam pe javaani
Roti hui ik yaad hai
Koi nahi mera is duniya me aashiya barbaad hai

Sukh chuke hai aankho ke jharne
Lut liya hame daag-e-jigar ne
Sukh chuke hai aankho ke jharne
Lut liya hame daag-e-jigar ne
Phul nahi ye zakhm khile hain
Phul nahi ye zakhm khile hain
Aasamaan saiyaad hai
Aasamaan saiyaad hai
Koi nahi mera is duniya me aashiya barbaad hai
Koi nahi mera is duniya me aashiya barbaad hai

Mausam dukho ka sar par hai chhaaya
Mujhse juda hai khud mera saaya
Mausam dukho ka sar par hai chhaaya
Mujhse juda hai khud mera saaya
Hum hai akele gam ke hai mele
Ruh ki fariyad hai
Koi nahi mera is duniya me aashiya barbaad hai

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *