Iss Desh Ke Jawano Ko Abb Aajmaya Jayega Lyrics | Farz (1947) | Zeenat Begum | K S Saagar

Iss desh ke jawano ko abb aajmaya jayega, aajmaya jayega – (2)

Shola hai jamin banee bijlee giraye aasman
Aag ke sholo pe chala desh kaa yeh karwan
Kaun sina tan nikale -2, desh mere kaa jawan
Hind par woh mar mite uncha kare komee nishan – (2)
Kaun aage badhke pehle pehalee golee khayega
Aajmaya jayega

Desh kee vidhwa pukare bhag jinke so gaye
Saye sar se utha gaye bachhe yatim ho gaye
Gurbat kaa ek tufan utha -2, bahano se bhai kho gaye
Matao kee aankho ke tare rote rote so gaye
Kaun aaj inn deviyo ke rote dil hansayega
Aajmaya jayega

Iss desh ke jawano ko abb aajmaya jayega, aajmaya jayega

Umange mit rahee hain aaj benamo nishan ho kar
Bata ai katibe kismat likha kaya badguman ho kar

Tavakko thee woh aayenge toh dil ko chain aaye ga
Magar betabiya utthee kaleje me jawan ho kar

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *