Aaja Milake Hum Baant Le Duriya Tanhaayiya Lyrics | Chamku | Shail Hada, Shreya Ghoshal | Monty Sharma

Aaja milake hum baant le duriya, tanhaayiya
Dhadkano mein bajane lagi ansuni shehnaayiya
Saj rahi hai abb aankhon mein
Pyaar ke khwaabon ki parchhaayiya
Aaja milake hum baant le duriya, tanhaayiya

Na koyi khushbu thi, na koyi mausam tha
Hardam ha jindagi viraan thi
Chaaron taraf se suham? ka andhera tha, tanha tha
Har khushi anjaan thi
Tujhko paake khone lagi abb dur tak phaili huyi viraaniya
Saj rahi hai abb aankhon mein
Pyaar ke khwaabon ki parchhaayiya
Aaja milake hum baant le duriya, tanhaayiya
Dhadkano mein bajane lagi ansuni shehnaayiya

Julfon ke saaye mein tera basera ho
Palkon mein din dhale abb raat din
Main wida keh du saare jamaane ko sochu na
Tu mere jab saath ho
Hum jubaan se jo na kahe, woh keh rahi yeh waadiya, khaamoshiya
Saj rahi hai abb aankhon mein
Pyaar ke khwaabon ki parchhaayiya
Aaja milake hum baant le duriya, tanhaayiya
Dhadkano mein bajane lagi ansuni shehnaayiya
Saj rahi hai abb aankhon mein
Pyaar ke khwaabon ki parchhaayiya
Aaja milake hum baant le duriya, tanhaayiya

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *