Ishwar Allah Lyrics  | 1947 Earth | Aamir Khan, Maia Sethna, Nandita Das | Anuradha Sriram, Sujatha Mohan | A R Rahman

Ishwar Allah Lyrics | 1947 Earth | Aamir Khan, Maia Sethna, Nandita Das | Anuradha Sriram, Sujatha Mohan | A R Rahman

(Ishwar allah tere jahan mein
Nafrat kyun hai jung hai kyun
Tera dil to itna bada hai
Insaan ka dil tang hai kyun) – 2

Kadam kadam par sarhad kyun hai
Saari zameen jo teri hai
Suraj ke pherey karti hai
Phir kyun itni andheri hai
Iss duniya ke daaman par
Insaan ke lahoo ka rang hai kyun

Ishwar allah tere jahan mein
Nafrat kyun hai jung hai kyun
Tera dil to itna bada hai
Insaan ka dil tang hai kyun

Goonj rahi hain kitni cheekhain
Pyaar ki baatein kaun sooney
Toot rahe hain kitney sapnay
Inn ke tukde kaun chuney
Dil ke darwazoon par taaley
Taalon par ye zang hai kyun

Ishwar allah tere jahan mein
Nafrat kyun hai jung hai kyun
Tera dil to itna bada hai
Insaan ka dil tang hai kyun

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *