Hoti hai kaisi bhalan bebasi jaana hai maine toh bas ye abhi
Le chali jaane kaha zindagi kitni baate aadhi adhoori
Kitni baate hain jo tumse naa keh paaya main
Mujhe mili wahaan wafaa jahaan saanse hui hai khafa
Mutthi se paani ki tarah bahi ummede woh teri meri sabhi
Mutthi se paani ki tarah bahi ummede woh teri meri sabhi
Ab ye manzar hai sab banzar hai
Kya zamee kya falak aur kya jaha
Kitni baate aadhi adhoori kitni baate hain
Jo tumse na keh paaya main
Lamhe woh aankhon se risane lage yaadon me sab meri jo the jame
Lamhe woh aankhon se risane lage yaadon me sab meri jo the jame
Woh tadapte hain mujh se ladte hai hashr hoga ye naa tha pataa

