( diwaali ki raat piyaa ghar aane waale hai
Sajan ghar aane waale hai
Balam ghar aane waale hai ) -2
( jhum-jhum kar diye ki baati
Mere dil ko kare ishaaraa ) -2
( jaan ga_i mai aane waalaa
Hai teraa saajan pyaaraa ) -2
Diwaali ki raat piyaa ghar aane waale hai
Sajan ghar aane waale hai
Balam ghar aane waale hai
( jin galiyo se aaye balamawaa
Un galiyo me nain bichhaa_un
( qadam-qadam par aashaa_o ke
Dip jalaati jaa_un ) -2
Diwaali ki raat piyaa ghar aane waale hai
Sajan ghar aane waale hai
Balam ghar aane waale hai
( aaj raat aankho-aankho me
Kah dungi sab dil ki baate ) -2
( roz-roz kab aati hai ye
Madur milan ki raate ) -2
( diwaali ki raat piyaa ghar aane waale hai
Sajan ghar aane waale hai
Balam ghar aane waale hai ) -2

