Ek Hai Jharna Ek Hai Nadiya Lyrics | Harishchandra Taramati | Mohammed Rafi | Hridaynath Mangeshkar

Ek Hai Jharna Ek Hai Nadiya Lyrics | Harishchandra Taramati | Mohammed Rafi | Hridaynath Mangeshkar

Ek hai jharna ek hai nadiya
Ek sagar gahra hai
Ek hai jharna ek hai nadiya
Ek sagar gahra hai
Bahta jal kab ek jagah par thahra hai
Ek hai jharna

Ye jiwan hai janjal ghana
Jo raja tha chandal bana
Ye phulo ki rajkumari
Rani thi ab hai panihari
Maa se beta chut gaya hai
Iska sapna tut gaya hai
Tap kar sona kundan banta
Wohi asli sehra hai
Bahta jal kab ek jagah par thahra hai
Ek hai jharna

Hai kam kisi ka hath kisi ke
Kuch din mithe kuch din tikhe
Ye hai dasi ki bhi dasi
Tan chah kar hai man sanyasi
Pran palenge raja rani
Dekhe kisme kitna pani
Jo pani ka geet na samjha
Aisa jag to gahra hai
Bahta jal kab ek jagah par thahra hai
Ek hai jharna

Jite ji marna padta hai
Anchaha karna padta hai
Dukhiyara darpan rota hai
Bach ke jite kya hota hai
Pardesi nanha banjara
Ab sukha jharna bechara
Do naino ke jal me jhaka
Jag ka kala chehra hai
Bahta jal kab ek jagah par thahra hai
Ek hai jharna ek hai nadiya
Ek sagar gahra hai
Ek hai jharna

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *