Apna Jinhe Banaya Thukra Ke Wo Sidhare Lyrics | Naatak | Suraiya | Naushad

Apna Jinhe Banaya Thukra Ke Wo Sidhare Lyrics | Naatak | Suraiya | Naushad

Apna jinhe banaya
Thukra ke wo sidhare
Thukra ke wo sidhare
Thukra ke wo sidhare
Tute na is tarah se
Dushman ke bhi sahare
Dushman ke bhi sahare
Dushman ke bhi sahare

Dil ki har ek dhadkan fariyaad ho gayi hai
Aabad thi jo duniya barbad ho gayi hai
Dar dar bhatak rahe hai
Hum ranj-o-ghum ke maare
Hum ranj-o-ghum ke maare
Hum ranj-o-ghum ke maare

Aankhe kaha se laye ye dekhne ko haye
Koi kisi ko khoye koi kisi ko paye
Hans kar koi gujare
Ro kar koi gujare
Ro kar koi gujare
Ro kar koi gujare

Bigde na yu mukaddar badle na yu zamana
Apne liye kafat hai apna hi aashiyana
Hai aaj wo paraye
Kal tak jo the humare
Kal tak jo the humare
Kal tak jo the humare

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *