Har Jeevan Har Yug Me Lyrics | Nai Imarat | Bhupinder Singh | Bappi Lahiri

Har jeevan har yug me maine saath tumhaara maanga hai

Saat janamke liye tumhi ko maine saat vachan se baandha hai

Suraj ke sang karti hai fere dekho dharti dulhaniya
Pyar ke rang me rangi huyi hai jaise saari duniya
Har ladka ek sapno ka mohan har ladki ek raadha hai
Har jeevan har yug me maine saath tumhaara maanga hai

Sapno me bhi siva tumhaare dekha nahi koi duja
Ho mandir mandir deep jalaaye har murat ko pooja
Yu hi nahi tumhe paaya maine sadiyo tak tap saadha hai
Har jeevan har yug me maine saath tumhaara maanga hai
Saat janamke liye tumhi ko maine saat vachan se baandha hai
Har jeevan har yug me maine saath tumhaara maanga hai

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *