Aankhein Do Aankhein Lyrics | Geeta Mera Naam | Lata Mangeshkar | Laxmikant Pyarelal

Aankhein Do Aankhein Lyrics | Geeta Mera Naam | Lata Mangeshkar | Laxmikant Pyarelal

Aankhe do aankhe ye di hai kaho kisne

Aankhe do aankhe ye di hai kaho kisne
Humko aur tumko aur sabko kaho kisne
Aankhe do aankhe ye di hai kaho kisne
Humko aur tumko aur sabko kaho kisne
Kaun hai wo
Kya malum
Kaisa hai
Na malum
Phir bhi kone kone me usi ki dhum
Usi ki dhum
Aankhe do aankhe ye di hai kaho kisne
Humko aur tumko aur sabko kaho kisne

Teacher didi ye to batao
Kaam hai ye kya do aankho ka
Ha ha la la la
Dekho inse unche parwat gaata bahta ye jharna
Ha ha la la la
Aankhe do aankhe ye di hai kaho kisne
Humko aur tumko aur sabko kaho kisne

Kitni pyari hai dekho ye duniya
Kaliyo si phulo se bhari bhari duniya
Kaliyo si phulo se bhari bhari duniya
Gudiya jaisi hai chhoti si duniya
Resham ke dhago se buni buni duniya

Teacher humko bhi do paiso ki ek gudiya le do
Na na na paise se ye nahi milegi
Aankhe do aankhe ye di hai kaho kisne
Humko aur tumko aur sabko kaho kisne

Aao chale waha baadal khada jaha
Chale use pakad le
Aao chale waha baadal khada jaha
Chale use pakad le
Bachke kaha jayega ye isko jakad le
Dekho kaise pakda l l la l l la
Aankhe do aankhe ye di hai kaho kisne
Humko aur tumko aur sabko kaho kisne

So ja baby so ja laal patang par so ja
Pappa mamma aayenge dher khilaune layenge
Anjani masum ye duniya khushiyo se mahrum
Anjani masum ye duniya khushiyo se mahrum
Kaun hai inme kal ka suraj ye kisko malum

Aao aao teacher didi khele ek khel
Aao aao teacher didi khele ek khel
Tum bano engine hum bane rail
Na engine ho fail na fail na fail

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *