O Badra Man Ki Murad Lyrics | Andher Nagari | Mahendra Kapoor | Gaurang Vyas

O Badra Man Ki Murad Lyrics | Andher Nagari | Mahendra Kapoor | Gaurang Vyas

O badra man ki muraad sa tu barsa
O badra man ki muraad sa tu barsa
Ki aadmi kahi rah na jaye tarsa
O badra man ki muraad sa tu barsa

Agar jaanta ek bund ko matha patak marenge
Man jhulsenge bachche inke anaath ho bhatkenge
Tuta futa shesh liye wo
Bebas dujhe desh jiye
Hontho pe koi savaal nahi
Jaise dharti ke laal nahi
Jaane ho to sach kahna
Fir bhi kyun barse o badra
Kisaki khaatir
Kisaki khaatir
Kisaki khaatir amrit sa ru barse hai re
O badra

Raaja khudvata hain waaw
Malo dale wahaa padaaw
Raaja khudvata hain waaw
Malo dale wahaa padaaw
Mile mutthi bhar jwaar aur baajari
Aaye raat aur prbhaat
Tute kamar samay ke saath
He aaye raat aur prbhaat
Tute kamar samay ke saath
Mile mutthi bhar jwaar aur baajari
Baras baras bahta gaya
Aur jivo huaa jawaan
Naak naksh kaathi mili
Usko kunvar samaan
Sahte jaate sab aaghaat
Ye hain majduro ki baat
Sahte jaate sab aaghaat
Ye hain majduro ki baat
Mile mutthi bhar jwaar aur baajari
He mile mutthi bhar jwaar aur baajari

De jo andher nagri me acharaj dikhaai
To bhi dekho jara bhaai
Sab dekho jara bhaai
Suno jo de sunaai kaisi baaten banaai
Are dekho jara bhaai
Sab dekho jara bhaai
Sach kahne ki saja jahaan ho
Wo hain kaisa desh
Sach kahne ki saja jahaan ho
Wo hain kaisa desh
Are rakhwale se rahna dar kar
Are rakhwale se rahna dar kar
Ye jivan sandesh
De jo andher nagri me acharaj dikhaai
To bhi dekho jara bhaai
Sab dekho jara bhaai

Pal do pal me palak jhapkte
Bitegi ye raat
Are pal do pal me palak jhapkte
Bitegi ye raat
Gajab uljhane gajab adachane layega prbhaat
Taa thaiyaa thaiyaa thaiyaa
Kal kal bahti
Sab kuchh sahti jaaye
Nadi bahti jaaye
Bahti jaaye
Pal pal kahati jaye
Nadi bahti jaaye
Bahti jaaye
Pal pal kahati jaye

He uge re uge re suraj uge re
Suraj sukh ka re uge
He uge re uge re suraj uge re
Suraj sukh ka re uge
Jivo ki do rakt bund se
Likhi gayi kahani
Dharti ki chhati se dekho
Ab futa hain paani
Suraj uge re
Suraj sukh ka re uge
Raja khush hain wo khush hain
To prjaa khush hain
Raja khush hain wo khush hain
To prjaa khush hain
Khush hain jag ka naath
Hilmil ke sab sukhi rahe
Ab ek duje ke saath
Suraj uge re
Suraj sukh ka re uge
Uge re uge re suraj uge re
Suraj sukh ka re uge

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *