Jiski laagi re lagan bhagwaan me
Uska deeya re jalega tufaan me
Chaahe andheri raat
Chaahe barsaat
Ghata ghir aaye
Ghata ghir aaye
Chaahe duniya chhode sath
Kare na koi baat
Re jaal bichhaye
Re jaal bichhaye
Jo duba parbhu ke dhyaan me
Uska deeya re jalega tufaan me
Jiski laagi re lagan bhagwaan me
Uska deeya re jalega tufaan me
Parbhu ke bhakto ki is jag me
Parbhu rakhe nigraani
Parbhu rakhe nigraani
Kaat sake na kataar use
Talwaar amar vo praani
Bada bal hai parbhu ke vardaan me
Uska deeya re jalega tufaan me
Jiski laagi re lagan bhagwaan me
Uska deeya re jalega tufaan me
Tan ka deepak
Praan ki baati
Hari bhajan ka tel hai
Hari bhajan ka tel hai
Aisi amar jyoti ko bujhana
Duniya me kya khel hai
Duniya me kya khel hai
Parbhu aap viraaje jiske praan me
Parbhu aap viraaje jiske praan me
Uska deeya re jalega tufaan me
Jiski laagi re lagan bhagwaan me
Uska deeya re jalega tufaan me
Jiski laagi re lagan bhagwaan me
Uska deeya re jalega tufaan me

