Rukh Se Parda Lyrics | Classics Collection (Jagjit Singh) | Jagjit Singh | Jagjit Singh

Rukh Se Parda Lyrics | Classics Collection (Jagjit Singh) | Jagjit Singh | Jagjit Singh

Rukh se parda utha de jara sakiya
Bas abhi range mahfil badal jayega
Rukh se parda utha de jara sakiya
Bas abhi range mahfil badal jayega
Hai jo behosh vo hosh me aayega
Girne vala hai jo vo sambhal jayega
Rukh se parda utha de

Tum taslli na do sirf baithe raho
Vakt kuchh mere marne ka tal jayega
Kya ye kam hai masiha ke rahne hi se
Mout ka bhi irada badal jayega
Rukh se parda utha de

Tir ki ja hai dil dil ki ja tir hai
Tir ko na yu khinchi kaha man lo
Tir ki ja hai dil dil ki ja tir hai
Tir ko na yu khinchi kaha man lo
Tir khincha to dil bhi nikal jayega
Dil jo nikla to dam bhi nikal jayega
Rukh se parda utha de

Iske hansane me rone ka andaj hai
Khak udane me fariyad ka raaj hai
Isko chhedo na anvar khuda ke liye
Barna bimar ka dam nikal jayega
Rukh se parda utha de jara sakiya
Bas abhi range mahfil badal jayega
Hai jo behosh vo hosh me aayega
Girne vala hai jo vo sambhal jayega
Rukh se parda utha de

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *