Dil-e nadan tujhe hua kya hai
Aakhir is dard ki dawa kya hai
Dil-e nadan tujhe huaa kya hai
Hum hai mushtaq aur wo bezaar
Hum hai mushtaq aur wo bezaar
Yaa ilaahi ye majara kya hai
Dil-e nadan tujhe huaa kya hai
Main bhi muh mein zaban rakhta hun
Main bhi muh mein zaban rakhta hun
Kaash puchho ki mudda kya hai
Dil-e nadan tujhe huaa kya hai
Humko unse wafa ki hai umid
Humko unse wafa ki hai umid
Jo nahi jaanate wafa kya hai
Dil-e nadan tujhe huaa kya hai
Jaan tum par nisar karta hun
Jaan tum par nisar karta hun
Main nahi jaanata dawa kya hai
Dil-e nadan tujhe huaa kya hai
Aakhir is dard ki dawa kya hai

