Sanwariya Re Apni Meera Ko (Sad) Lyrics | Aanchal | Suman Kalyanpur | Chitalkar Ramchandra

Sanwariya Re Apni Meera Ko (Sad) Lyrics | Aanchal | Suman Kalyanpur | Chitalkar Ramchandra

Mujhse chhipke agar kahi tum
Mere mohan bhage
Mere mohan bhage
Bhage tum mere naina
Hardam aage aage
Sanwariya re apni
Meera ko bhul na jana

Bar bar us paar tumhari
Pagal prit pukare
Main is paar chita si jalti
Jivan nadi kinare
Main is paar chita si jalti
Jivan nadi kinare
Bina tumhare jag ye suna
Bina tumhare jag ye suna
Lagta desh virana
Sanwariya re apni
Meera ko bhul na jana

Daya karo
Daya karo ab pas bula lo
Mere jivan data
Meri vidhva prit se jodo
Phir suhag ka nata
Meri vidhva prit se jodo
Phir suhag ka nata
Bhari lagta aansu ka bhi
Bhari lagta aansu ka bhi
Ab to bojh uthana
Sanwariya re apni
Meera ko bhul na jana

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *