L : lagaa hai kuch aisaa nishaanaa kisi kaa
ye dil ho gayaa hai divaanaa kisi kaa
C : mere hosh jaate rahe dekhate hi
qayaamat haavas(?) muskuraanaa kisi kaa
L : koi man me aakar ke aise basaa hai
ki mushkil huaa bhulaanaa kisi kaa
C : mili un se aankhe to bijali si tadapi
L : mili un se aankhe to bijali si tadapi
kuch aisaa thaa aankhe ladaanaa kisi kaa
ye dil ho gayaa hai divaanaa kisi kaa

