Mai Jaan Gaya Pehchan Gaya Lyrics | Kashinath | Asit Baran | Pankaj Mullick

Mai Jaan Gaya Pehchan Gaya Lyrics | Kashinath | Asit Baran | Pankaj Mullick

Main jaan gaya pehchan gaya
Main jaan gaya pehchan gaya
Is ghor andheri raat me jagi tumne mujhe pukara
Gunj utha hai
Gunj utha hai milan geet se isliye jag sara
Main jaan gaya pehchan gaya ha tumne mujhe pukara

Jaise hawa
Jaise hawa sine me laga patto ko uda le jaye
Jaise dariya pehlu me bitha tinko ko baha le jaye
Vaise tumhe banane apna sacha karne jivan sapna
Paas tumhare aata hai
Paas tumhare aata hai ye mann ka geet tumhara
Main jaan gaya pehchan gaya ha tumne mujhe pukara
Tumne mujhe pukara tumne mujhe pukara

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *