Dekho Na Lyrics | Swades | Alka Yagnik, Udit Narayan | A R Rahman

Dekho Na Lyrics | Swades | Alka Yagnik, Udit Narayan | A R Rahman

??dekho na
Zara dekho na tum ho main hu aur ye tanhaaiya hai
Dekho na
Zara dekho na kaisi narm si ye parchhaaiya hai
Suno zara
Suno zara
Dhadkano ki sada
Suno zara
Suno zara
Geet khaamoshi ka
Suno zara
Suno zara
Kehti hai raat kya
Raat hai leke aayi
Kitne armaan anjaane
Kehti hai sau afsaane
Sunta hu main
Raat ne li angdaai
Anhoni baat hai hoti
Bikhre hai jaise moti chunta hu main
Tumne ye kya keh diya meri aankho me diye hai jaise jal gaye
Tumne ye kya keh diya meri raato ke andhere jaise dhal gaye

Tumse hi toh milke maine jaana hai sapne kya hote hain ho
Tumse hi toh milke maine jaana hai dil kaise khote hain oh
Chaandni se pyaari mujhko in palko ki chhaao
Tumne basaaya mere dil me ik sapno ka gaao
Tumne mujhko chaha toh mausam rang chhalkata hai
Har panchhi ab gaata hai mere liye
Tumne mujhko chaaha toh jeevan ki saari raahe
Khole hain apni baahe mere liye
Dekho na
Zara dekho na tum ho main hu aur ye tanhaaiya hai
Dekho na
Zara dekho na kaisi narm si ye parchhaaiya hai

Tum bin din sune the raate suni thi viraani thi chhaayi oh
Ab jaise din chamke raate mehki hai tum ho jo hamraahi oh
Tum bin jaise main thi adhoori
Poori ho gayi hu main
Tumko paake jag paaya hai par khud kho gayi hu main
Ham dono ne ab jaana
Jeene ka matlab kya hai
Pehle kya thi ab kya hai
Ye zindagi
Ham dono ne ab jaana
Duniya kitni pyaari hai
Paayi kitni saari hai
Hamne khushi
Dekho na
Zara dekho na tum ho main hu aur ye tanhaaiya hai
Dekho na
Zara dekho na kaisi narm si ye parchhaaiya hai
Suno zara
Suno zara
Dhadkano ki sada
Suno zara
Suno zara
Geet khaamoshi ka
Suno zara
Suno zara
Kehti hai raat kya

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *