Mausam Bhi Yaar Hai Lyrics | Aks (Lucky Ali) | Lucky Ali

Mausam Bhi Yaar Hai Lyrics | Aks (Lucky Ali) | Lucky Ali

Mausam bhi yaar hain
Gulshan gharbaar hain
Barkha ka saath hain
Kaisi saugaat hain
Ab jaye
Kab jaye kaise bolo
Jinke sath dil lagta hain
Unke sath ho lo
Jana kahan tha humko
Kahan hum chal diye
Choti choti hasrato mein hum ghul mil gaye
Soch ke kya nikle the
Ye kya hum kar gaye
Jo kahte wo na karte na inme rah gaye
Rab ye jane ab kya hoga rasta hain mushkil
Kis chaurahe pe khade hain yaar

Kitne armaan hain
Kaise anjaam hain
Barso ka kaam hain
Lamho pe naam hain
Der se aaye jaise aaye bolo
Jinke sath dil lagta hain
Unke sath ho lo

Mitti ka bartan ho
Bartan mein ho sona
Sone ke bartan mein mitti aisa nahi hona
Aasman agar chhath hain
Ye dharti bichhona
Ambar ko de saya aur dharti ka kya kona
Rab ye jane kaisa hota kahna hain mushkil
Hain us paar bhi gharbaar yaar

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *