Badla Hua Duniya Me Ulfat Ka Zamana Hai Lyrics | Hamari Mazil | Mohammed Rafi, Geeta Dutt | Husnlal Bhagatram

Badla Hua Duniya Me Ulfat Ka Zamana Hai Lyrics | Hamari Mazil | Mohammed Rafi, Geeta Dutt | Husnlal Bhagatram

Badla hua dunia me
Ulfat ka fasana hai ulfat ka fasana hai
Wo aur zamana tha ye aur zamana hai
Badla hua dunia me ulfat ka fasana hai
Wo aur zamana tha ye aur zamana hai

Ab kaise club me hai sar kaish tha jungle me
Tab laila thi mahfil me
Ab laila hai hotel me ab laila hai hotel me
Tab aah thi hotho pe ab hotho pe gana hai
Tab aah thi hotho pe ab hotho pe gana hai
Wo aur zamana tha ye aur zamana hai

Farhad bhi ab badle kab nahar me girte hai
Peshe ki jagah hazrat
Raiket liye firte hai raiket liye firte hai
Raiket nahi shiri se milne ka bahana hai
Raiket nahi shiri se milne ka bahana hai
Wo aur zamana tha ye aur zamana hai

Kal hazrate majnu ne laila ko ye khat likha
Mai kaise milu laila petrol nahi milta
Petrol nahi milta aji sahab
Kya pyar kare koi rashan ka zamana hai
Kya pyar kare koi rashan ka zamana hai
Wo aur zamana tha ye aur zamana hai
Badla hua dunia me ulfat ka fasana hai
Wo aur zamana tha ye aur zamana hai

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *