Aaye Woh Phulon Ke Rath Par Lyrics | Deedar-E-Yaar | Lata Mangeshkar | Laxmikant Pyarelal

Aaye Woh Phulon Ke Rath Par Lyrics | Deedar-E-Yaar | Lata Mangeshkar | Laxmikant Pyarelal

Aaye woh phulon ke rath par
Padi rahu main piya ke path par
Man hi man mein ang lagau
Dur khadi sharmau main
Aaye woh phulon ke rath par
Padi rahu main piya ke path par
Aaye woh phulon ke rath par

Tujhi se jyot jale jivan ki
Ek hi abhilaasha hai man ki
Tujhi se jyot jale jivan ki
Tujhi se milan ho chaahe milan ki raat ko mar jaau main
Aaye woh phulon ke rath par
Padi rahu main piya ke path par
Aaye woh phulon ke rath par

Mehnge nahi tum sabke badale
Le lu tumhe main toh rab ke badle
Tum anmol tumhe kya dekar
Prem kya mol chukaau main
Aaye woh phulon ke rath par
Padi rahu main piya ke path par
Aaye woh phulon ke rath par

Jal jaayungi piya ki lagan mein
Jaise chakori chanda ki angan mein
Raakh male jab mera jogi ang se lag jaau main
Aaye woh phulon ke rath par
Padi rahu main piya ke path par
Mann hi mann mein ang lagaau
Dur khadi sharmaau main
Aaye woh phulon ke rath par
Padi rahu main piya ke path par
Aaye woh phulon ke rath par

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *