Khushi ke jalte suraj ko
Sukun ke ujle gumbaj ko
Buri nazro ka nigal gaya grahan
Asar tha uski sazish me
Jo saiyyaron ki gardish me
Zahar ki tarah thehar gaya grahan
Khushi ke jalte suraj ko
Sukun ke ujle gumbaj ko
Buri nazro ka nigal gaya grahan
Wo aafat hi kuchh aisi thi
Ke fitrat deemak jaisi thi
Jo til-til karke utar gaya grahan
Nazro ke aage dhundh hai
Sab darwaaze band hai
Jhutha lage har dilasa
Haanf rahi awaaz hai
Parde ke piche raaz hai
Hota nahi kyun khulasa
Muskurahat sehmi hai
Gham ki gehma ghemi hai
Duaye saari nikli ke bewafa
Raat katti karwat me
Aansu chhupa ke silwat me
Subah ki kirne bhi lagti hai khafa
Qayamat bhar ke daaman me
Kisi ke ghar ke angan me
Kehar ki tarah utar gaya grahan
Nazro ke aage dhundh hai
Sab darwaaze band hai
Jhutha lage har dilasa
Haanf rahi awaaz hai
Parde ke piche raaz hai
Hota nahi kyun khulasa

