Ghor andhera
Kehta raha
Haar ja
Ek sitaara mana nahi
Na dara
Roshni ki ik bund pe
Zinda raha wo
Zinda raha wo
Zindagi ki kuch doriyo ko jakde hue
Kehta raha
Haq hai mujhe jalne ka
Haq hai mujhe jeene ka
Haq hai mera ambar pe
Leke rahunga haq mera
Leke rahunga haq mera
Karta hu wada
Mere lahu ka qatra abhi garm hai
Ek adhura mera abhi karm hai
Din mahine aur saal ki ginta raha wo
Ginta raha wo
Hosle ki kuch tiliyo ko pakde huye
Kehta raha
Haq hai mujhe jalne ka
Haq hai mujhe jeene ka
Haq hai mera ambar pe
Leke rahunga haq mera
Leke rahunga haq mera
Karta hu wada
Main jaanta hu mujhe aakhir ek na ek din
Marna hai
Par jab talak bhi jeeyu wo jeena kaisa
Tai karna hai
Mitti ki kaya me lohe ka hai irada
Haq hai mujhe jalne ka
Haq hai mujhe jeene ka
Haq hai mera ambar pe
Leke rahunga haq mera
Leke rahunga haq mera
Tu dekh lena

