Sunate Aaj Tumko Hum Mahabharat Lyrics | Veer Bhimsen | Manna Dey | Chitalkar Ramchandra

Sunate Aaj Tumko Hum Mahabharat Lyrics | Veer Bhimsen | Manna Dey | Chitalkar Ramchandra

Sunate aaj tumko
Hum mahabharat ki gatha
Sunate aaj tumko
Hum mahabharat ki gatha
Hazaro varsh pahle
Dekh lo ye desh kya tha

Yaha the veer adhbhut
Randhir adhbhut
Wo pran ko paalte the
Pahad uchalte the
Wo nar the aad wale
Vilakshan maad wale
Wo jeena jante the
Wo marna jante the
Pratapi nar se darkar
Kaal muththi me bandha tha
Hazaro varsh pahle
Dekh lo ye desh kya tha

Wo ek mahan yug tha
Bada balwan yug tha
Jagat tha daas apna
Padho itihas apna
Na din wo pyar ke the
Wo din talwar ke the
Yaha jab ran hua tha
Chakit tribhuvan hua tha
Hatheli par liye matha yaha
Har nar khada tha
Hazaro varsh pahle
Dekh lo ye desh kya tha

Anokhi ye katha hai
Badi isme jatha hai
Yaha bhagwan bhi the
Yahi shaitan bhi the
Gajab ki yaariya thi
Prakhar chingariya thi
Naman hai aaj inko
Hai vandan aaj inko
Ke jinki jeet ka
Sansar me danka baja tha
Hazaro varsh pahle
Dekh lo ye desh kya tha

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *