Ek na ek shamma andhere me jalaye rakhiye
Ek na ek shamma andhere me jalaye rakhiye
Subah hone ko hai mahol banaye rakhiye
Ek na ek shamma
Jinke haatho se hume zakm-e-niha pahunche hai
Jinke haatho se hume zakm-e-niha pahunche hai
Wo bhee kehte hai ke zakhmo ko chupaye rakhiye
Ek na ek shamma
Kaun jane ke wo kis raah-guzar se guzre
Kaun jane ke wo kis raah-guzar se guzre
Har guzar raah ko phulo se sajaaye rakhiye
Ek na ek shamma
Daman-e-yaar ki zeenat na bane har ansu
Daman-e-yaar ki zeenat na bane har ansu
Apni palko ke liye kuch to bachaye rakhiye
Ek na ek shamma andhere me jalaye rakhiye
Ek na ek shamma

