Chhupaa Le Daag E Jigar, Ai Dard E Jigar Fariyaad Na Kar Lyrics | Bahu | Lata Mangeshkar | Hemant Kumar

Chhupaa Le Daag E Jigar, Ai Dard E Jigar Fariyaad Na Kar Lyrics | Bahu | Lata Mangeshkar | Hemant Kumar

Chhupa le dag-e-jigar daag-e-dil zamane se
Ki dard aur badhega inhe dikhane se

Ai dard-e-jigar
Fariyad na kar bahte hai to aansu bahne de
Ai dard-e-jigar
Fariyad na kar bahte hai to aansu bahne de
Sahil ki tamanna karta ja
Manjhdhar me kashti rahne de
Ai dard-e-jigar

Hamko to zamane se apna dukh-dard chupaye rahna hai
Hamko to zamane se apna dukh-dard chupaye rahna hai
Ho jaye na apni rusawai
Har zulm ko has kar sahne de
Ai dard-e-jigar
Fariyad na kar bahte hai to aansu bahne de
Ai dard-e-jigar

Dil saup chuke hai ham jin ko ab unse shikwa kya karna
Dil saup chuke hai ham jin ko ab unse shikwa kya karna
Jis hal me rakhna chahe wo
Us hal me ham ko rahne de
Ai dard-e-jigar
Fariyad na kar bahte hai to aansu bahne de
Sahil ki tamanna karta ja
Manjhdhar me kashti rahne de
Ai dard-e-jigar

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *