Sabko Nach Nachata Fir Bhi Najar Nahi Jo Aata Lyrics | Kan Kan Men Bhagwan | Manna Dey | Shivram

Sabko Nach Nachata Fir Bhi Najar Nahi Jo Aata Lyrics | Kan Kan Men Bhagwan | Manna Dey | Shivram

Sabko nach nachata
Phir bhi nazar nahi jo aata
Sabko nach nachata
Phir bhi nazar nahi jo aata
Aisi duniya ko banane wala kaun hai
Wo hi shyam hai ghanshyam hai

Ambar se pani barsata
Pathar me jo phul khilata
Aisi duniya ko banane wala kaun hai
Wo hi shyam hai ghanshyam hai

Mala ghumane se wo nahi milta wo nahi milta
Bhasmi lagane se wo nahi hilta wo nahi hilta
Jhopadiyo me phul wo khilta phul wo khilta
Koi garib se aankh na milta aankh na milta

Wohi pita hai wohi mata
Wohi sabka bhagay vidhata
Aisa sarjan hara sabka pyara kaun hai
Wo hi shyam hai ghanshyam hai
Sabko nach nachata
Phir bhi nazar nahi jo aata
Aisi duniya ko banane wala kaun hai
Wo hi shyam hai ghanshyam hai

Ek hai raja ek bikhari kyu ek bikhari
Ek achhut aur ek pujari kyu ek pujari
Ye bhed papi humne banaya humne banaya
Wo to sabhi ke hai tan me samaya
Man me hai samaya

Sabko ek pyar se sincha
Koi uncha na koi nicha
Aisa ek saman samjhne wala kaun hai
Wo hi shyam hai ghanshyam hai
Sabko nach nachata
Phir bhi nazar nahi jo aata
Aisi duniya ko banane wala kaun hai
Wo hi shyam hai ghanshyam hai

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *