Baadal kaala
Koyal kaali
Us se kaali raat hai
Us se kaali zulf teri jo saavan ki hamraaz hai
Baadal kaala
Koyal kaali
Us se kaali raat hai
Us se kaali zulf teri jo saavan ki hamraaz hai
Baadal kaala
Bela gora
Juhi gori
Us se gori chaandani
Bela gora
Juhi gori
Us se gori chaandani
Us se gora mukhada tera jis pe mujhko naaz hai
Baadal kaala
Ambar nila
Saagar nila
Us se nila nil kamal
Ambar nila
Saagar nila
Us se nila nil kamal
Us se nili aankhein teri jin mein gahara raaz hai
Baadal kaala
Sur hai mitha
Lay hai mithi
Us se mithi raagini
Sur hai mitha
Lay hai mithi
Us se mithi raagini
Us se mithe honth hain tere
Aur teri aawaaz hai
Baadal kaala
Koyal kaali
Us se kaali raat hai
Us se kaali zulf teri jo saavan ki hamraaz hai
Baadal kaala

